Is Wusat-e-kalam Se Ji Tang Aa Gaya
is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya
naseh tu meri jaan na le dil gaya gaya
zid se wo phir raqib ke ghar mein chala gaya
ai rashk meri jaan gai tera kya gaya
ye zof hai to dam se bhi kab tak chala gaya
KHud-raftagi ke sadme se mujh ko ghash aa gaya
kya puchhta hai talKHi-e-ulfat mein pand ko
aisi to lazzaten hain ki tu jaan kha gaya
kuchh aankh band hote hi aankhen si khul gain
ji ek bala-e-jaan tha achchha hua gaya
aankhen jo DhunDti thin nigah-ha-e-iltifat
gum hona dil ka wo meri nazron se pa gaya
bu-e-saman se shad the aghyar-e-be-tamiz
us gul ko e'tibar-e-nasim-o-saba gaya
aah-e-sahar hamari falak se phiri na ho
kaisi hawa chali ye ki ji sansana gaya
aati nahin bala-e-shab-e-gham nigah mein
kis mehr-wash ka jalwa nazar mein sama gaya
ai jazb-e-dil na tham ki na Thahra wo shola-ru
aaya to garm garm wa-lekin jala gaya
mujh KHanuman-KHarab ka likkha ki jaan kar
wo nama ghair ka mere ghar mein gira gaya
mehndi malega panw se dushman to aan kar
kyun mere tafta sine ko Thokar laga gaya
bosa sanam ki aankh ka lete hi jaan di
'momin' ko yaad kya hajrul-aswad aa gaya
(676) Peoples Rate This