Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4992031ce7c45af8a9fbeff16387182a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Samajhte Hain Aazmane Ko - Momin Khan Momin Poetry In English - Darsaal

Hum Samajhte Hain Aazmane Ko

hum samajhte hain aazmane ko

uzr kuchh chahiye satane ko

sang-e-dar se tere nikali aag

hum ne dushman ka ghar jalane ko

subh-e-ishrat hai wo na sham-e-visal

hae kya ho gaya zamane ko

bul-hawas roe mere girye pe ab

munh kahan tere muskurane ko

barq ka aasman par hai dimagh

phunk kar mere aashiyane ko

sang-e-sauda junun mein lete hain

apna hum maqbara banane ko

shikwa hai ghair ki kudurat ka

so mere KHak mein milane ko

roz-e-mahshar bhi hosh gar aaya

jaenge hum sharab-KHane ko

sun ke wasf us pe mar gaya hamdam

KHub aaya tha gham uThane ko

koi din hum jahan mein baiThe hain

aasman ke sitam uThane ko

naqsh-e-pa-e-raqib ki mehrab

nahin zebinda sar jhukane ko

chal ke kabe mein sajda kar 'momin'

chhoD us but ke aastane ko

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Samajhte Hain Aazmane Ko In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Hum Samajhte Hain Aazmane Ko is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Hum Samajhte Hain Aazmane Ko for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Hum Samajhte Hain Aazmane Ko in PDF.