Ho Na Betab Ada Tumhaari Aaj
ho na betab ada tumhaari aaj
naz karti hai be-qarari aaj
uD gaya KHak par ghubar apna
ho gai KHak KHaksari aaj
naza hai aur roz wada-e-wasl
hai bahar-taur dam-shumari aaj
mana-e-qatl kyun hua dushman
jaan hi jaegi hamari aaj
tere aate hi dam mein dam aaya
ho gai yas umid-wari aaj
koi bheje hai dil ko pahlu mein
kis ne ki us se ham-kinari aaj
us ke shikwe se hai asar zahir
kuchh to kahti hai aah-o-zari aaj
ek nai aarzu ka KHun hua
hum hain aur taza sogwari aaj
chhuT gae mar ke nesh-e-hijran se
kaam aae hai zaKHm-e-kari aaj
bekasi kyun hai nash par majma
kya hui tu meri piyari aaj
bhule hazrat nasihat ai naseh
hai kisi ki to yaadgari aaj
'momin' us but ko dekh aah bhari
kya hua laf-e-din-dari aaj
(636) Peoples Rate This