Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b76dcb24912673655ed9e7320870c486, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge - Momin Khan Momin Poetry In English - Darsaal

Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge

hai dil mein ghubar us ke ghar apna na karenge

hum KHak mein milne ki tamanna na karenge

kyunkar ye kahen minnat-e-ada na karenge

kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge

hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten

is tarah se karte hain ki goya na karenge

kya name mein likkhun dil-e-wabasta ka ahwal

malum hai pahle hi ki wo wa na karenge

ghairon se shakar-lab suKHan-e-talKH bhi tera

har chand halahil ho gawara na karenge

bimar-e-ajal-chaara ko gar hazrat-e-isa

achchha bhi karenge to kuchh achchha na karenge

jhunjhlate ho kya dijiye ek bosa dahan ka

ho jaenge lab band to ghaugha na karenge

diwar ke gir paDte hi uThne lage tufan

ab baiTh ke kone mein bhi roya na karenge

gar samne us ke bhi gire ashk to dil se

kyun roz-e-jaza KHun ka dawa na karenge

kis waqt kiya mardumak-e-chashm ka shikwa

ai parda-nashin hum tujhe ruswa na karenge

naseh kaf-e-afsos na mal chal tujhe kya kaam

pamal karenge wo mujhe ya na karenge

us ku mein Thaharne na diya josh-e-qalaq ne

aghyar se hum shikwa-e-beja na karenge

gar zikr-e-wafa se yahi ghussa hai to ab se

go qatl ka wada ho taqaza na karenge

'momin' wo ghazal kahte hain ab jis se ye mazmun

khul jae ki tark-e-dar-e-but-KHana karenge

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Hai Dil Mein Ghubar Uske Ghar Apna Na Karenge in PDF.