Ghussa Begana-war Hona Tha
ghussa begana-war hona tha
bas yahi tujh se yar hona tha
kya shab-e-intizar hona tha
nahaq ummid-war hona tha
kyun na hote aziz ghair tumhein
meri qismat mein KHwar hona tha
mujh se jannat mein wo sanam na mila
hashr aur ek bar hona tha
gar na thi ai dil us ke ranj ki tab
kyun shikayat-guzar hona tha
KHak hota na main to kya karta
us ke dar ka ghubar hona tha
harza-gardi se hum zalil hue
charKH ka e'tibar hona tha
marg-e-sham-e-visal-e-hirman hai
subh-dam jaan-nisar hona tha
aur se ham-kanar hai dushman
aaj to ham-kanar hona tha
shikwa-e-dahr par kaha tum ko
aafat-e-rozgar hona tha
chashm-e-be-iKHtiyar-e-jaanan mein
kya mera iKHtiyar hona tha
sabr kar sabr ho chuka jo kuchh
ai dil-e-be-qarar hona tha
ku-e-dushman mein ja pakaDta kyun
kya mujhe sharmsar hona tha
wo namak-pash bhi nahin hote
yun hi dil ko figar hona tha
KHak mein haif ye sharab mile
mohtasib baada-KHwar hona tha
na gaya tir-e-nala su-e-raqib
murgh-e-arshi shikar hona tha
raat din baada o sanam 'momin'
kuchh to parhez-gar hona tha
(733) Peoples Rate This