Ejaz-e-jaan-dahi Hai Hamare Kalam Ko
ejaz-e-jaan-dahi hai hamare kalam ko
zinda kiya hai hum ne masiha ke nam ko
likkho salam ghair ke KHat mein ghulam ko
bande ka bas salam hai aise salam ko
ab shor hai misal jo di us KHiram ko
yun kaun jaanta tha qayamat ke nam ko
aata hai bahr-e-qatl wo daur ai hujum-e-yas
ghabra na jae dekh kahin azhdaham ko
go aap ne jawab bura hi diya wale
mujh se bayan na kije adu ke payam ko
yan wasl hai talafi-e-hijran mein ai falak
kyun sochta hai taza sitam intiqam ko
tere samand-e-naz ki beja shararten
karte hain aag nala-e-andesha-kaam ko
girye pe mere zinda-dilo hanste kya ho aah
rota hun apne main dil-e-jannat-maqam ko
sah sah ke na-durust teri KHu bigaD di
hum ne KHarab aap kiya apne kaam ko
us se jala ke ghair ko ummid-e-puKHtagi
lag jae aag dil ke KHayalat-e-KHam ko
baKHt-e-sapid aaina-dari kare to main
dikhlaun dil ke jaur us aaina-fam ko
jab tu chale janaza-e-ashiq ke sath sath
phir kaun warison ke sune izn-e-am ko
shayad ki din phire hain kisi tira-roz ke
ab ghair us gali mein nahin phirte sham ko
muddat se nam sunte the 'momin' ka bare aaj
dekha bhi hum ne us shoara ke imam ko
(687) Peoples Rate This