Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath
dil-bastagi si hai kisi zulf-e-dota ke sath
pala paDa hai hum ko KHuda kis bala ke sath
kab tak nibhaiye but-e-na-ashna ke sath
kije wafa kahan talak us bewafa ke sath
yaad-e-hawa-e-yar ne kya kya na gul khilae
aai chaman se nikhat-e-gul jab saba ke sath
manga karenge ab se dua hijr-e-yar ki
aaKHir to dushmani hai asar ko dua ke sath
hai kis ka intizar ki KHwab-e-adam se bhi
har bar chaunk paDte hain aawaz-e-pa ke sath
ya rab visal-e-yar mein kyunkar ho zindagi
nikli hi jaan jati hai har har ada ke sath
allah re soz-e-atash-e-gham baad-e-marg bhi
uThte hain meri KHak se shole hawa ke sath
sau zindagi nisar karun aisi maut par
yun roe zar zar tu ahl-e-aza ke sath
har dam araq araq nigah-e-be-hijab hai
kis ne nigah-e-garm se dekha haya ke sath
marne ke baad bhi wahi aawargi rahi
afsos jaan gai nafas-e-na-rasa ke sath
dast-e-junun ne mera gareban samajh liya
uljha hai un se shoKH ke band-e-qaba ke sath
aate hi tere chal diye sab warna yas ka
kaisa hujum tha dil-e-hasrat-faza ke sath
main kine se bhi KHush hun ki sab ye to kahte hain
us fitnagar ko lag hai is mubtila ke sath
allah ri gumrahi but o but-KHana chhoD kar
'momin' chala hai kabe ko ek parsa ke sath
'momin' wahi ghazal paDho shab jis se bazm mein
aati thi lab pe jaan zah-o-habbaza ke sath
(2318) Peoples Rate This