Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha
dil qabil-e-mohabbat-e-jaanan nahin raha
wo walwala wo josh wo tughiyan nahin raha
ThanDa hai garm-joshi-e-afsurdagi se ji
kaisa asar ki nala-o-afghan nahin raha
karte hain apne zaKHm-e-jigar ko rafu hum aap
kuchh bhi KHayal-e-jumbish-e-mizhgan nahin raha
dil-saKHtiyon se aai tabiat mein nazuki
sabr-o-tahammul-e-qalaq-e-jaan nahin raha
ghash hain ki be-dimagh hain gul-pairahan namat
az-bas dimagh-e-itr-e-gareban nahin raha
aankhen na badlen shoKH-nazar kyun ke ab ki main
maftun-e-lutf-e-nargis-e-fattan nahin raha
nakaamiyon ka gah gila gah shukr hai
shauq-e-visal o anduh-e-hijran nahin raha
be-tuda tuda-KHak subuk-dosh ho gae
sar par junun-e-ishq ka ehsan nahin raha
har lahza mehr-jalwon se hain chashm-poshiyan
aaina-zar dida-e-hairan nahin raha
phirte hain kaise parda-nashinon se munh chhupae
ruswa hue ki ab gham-e-pinhan nahin raha
aaseb-e-chashm-e-qahr-e-pari-talatan nahin
ai uns ek nazar ki main insan nahin raha
bekari-e-umid se fursat hai raat din
wo karobar-e-hasrat-o-hirman nahin raha
be-sair-e-dasht-o-baadiya lagne laga hai ji
aur is KHarab ghar mein ki viran nahin raha
kya talKH-kaamiyon ne lab-e-zaKHm si diye
wo shor-e-ishtiyaq-e-namak-dan nahin raha
be-e'tibar ho gae hum tark-e-ishq se
az-bas ki pas-e-wada-o-paiman nahin raha
nind aai hai fasana-e-gesu-o-zulf se
wahm-o-guman-e-KHwab-e-pareshan nahin raha
kis kaam ke rahe jo kisi se raha na kaam
sar hai magar ghurur ka saman nahin raha
'momin' ye laf-e-ulfat-e-taqwa hai kyun magar
dilli mein koi dushman-e-iman nahin raha
(895) Peoples Rate This