Dar To Mujhe Kis Ka Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta
Dar to mujhe kis ka hai ki main kuchh nahin kahta
par haal ye ifsha hai ki main kuchh nahin kahta
naseh ye gila kya hai ki main kuchh nahin kahta
tu kab meri sunta hai ki main kuchh nahin kahta
main bolun to chup hote hain ab aap jabhi tak
ye ranjish-e-beja hai ki main kuchh nahin kahta
kuchh ghair se honTon mein kahe hai ye jo puchho
tu wuhin mukarta hai ki main kuchh nahin kahta
kab pas phaTakne dun raqibon ko tumhaare
par pas tumhaara hai ki main kuchh nahin kahta
naseh ko jo chahun to abhi Thik bana dun
par KHauf KHuda ka hai ki main kuchh nahin kahta
kya kya na kahe ghair ki gar baat na puchho
ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
kya kahiye nasibon ko ki aghyar ka shikwa
sun sun ke wo chupka hai ki main kuchh nahin kahta
mat puchh ki kis waste chup lag gai zalim
bas kya kahun main kya hai ki main kuchh nahin kahta
chupke se tere milne ka ghar walon mein tere
is waste charcha hai ki main kuchh nahin kahta
han tang-dahani ka na karne ke liye baat
hai uzr par aisa hai ki main kuchh nahin kahta
ai chaaragaro qabil-e-darman nahin ye dard
warna mujhe sauda hai ki main kuchh nahin kahta
har waqt hai dushnam har ek baat mein tana
phir us pe bhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
kuchh sun ke jo main chup hun to tum kahte ho bolo
samjho to ye thoDa hai ki main kuchh nahin kahta
sunta nahin wo warna ye sargoshi-e-aghyar
kya mujh ko gawara hai ki main kuchh nahin kahta
'momin' ba-KHuda sehr-bayani ka jabhi tak
har ek ko dawa hai ki main kuchh nahin kahta
(677) Peoples Rate This