Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge
dafn jab KHak mein hum soKHta-saman honge
fils mahi ke gul-e-sham-e-shabistan honge
nawak-andaz jidhar dida-e-jaanan honge
nim-bismil kai honge kai be-jaan honge
tab-e-nazzara nahin aaina kya dekhne dun
aur ban jaenge taswir jo hairan honge
tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le
hum to kal KHwab-e-adam mein shab-e-hijran honge
naseha dil mein tu itna to samajh apne ki hum
lakh nadan hue kya tujh se bhi nadan honge
kar ke zaKHmi tujhe nadim hun ye mumkin hi nahin
gar wo honge bhi to be-waqt pasheman honge
ek hum hain ki hue aise pashiman ki bas
ek wo hain ki jinhen chah ke arman honge
hum nikalenge sun ai mauj-e-hawa bal tera
us ki zulfon ke agar baal pareshan honge
sabr ya rab meri wahshat ka paDega ki nahin
chaara-farma bhi kabhi qaidi-e-zindan honge
minnat-e-hazrat-e-isa na uThaenge kabhi
zindagi ke liye sharminda-e-ehsan honge
tere dil-tafta ki turbat pe adu jhuTa hai
gul na honge sharar-e-atash-e-sozan honge
ghaur se dekhte hain tauf ko aahu-e-haram
kya kahen us ke sag-e-kucha ke qurban honge
dagh-e-dil niklenge turbat se meri jun lala
ye wo aKHgar nahin jo KHak mein pinhan honge
chaak parde se ye ghamze hain to ai parda-nashin
ek main kya ki sabhi chaak-e-gareban honge
phir bahaar aai wahi dasht-nawardi hogi
phir wahi panw wahi KHar-e-mughilan honge
sang aur hath wahi wo hi sar o dagh-e-junun
wo hi hum honge wahi dasht o bayaban honge
umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'
aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge
(1845) Peoples Rate This