Chal Pare HaT Mujhe Na Dikhla Munh
chal pare haT mujhe na dikhla munh
ai shab-e-hijr tera kala munh
aarzu-e-nazzara thi tu ne
itni hi baat par chhupaya munh
dushmanon se bigaD gai to bhi
dekhte hi mujhe banaya munh
baat puri bhi munh se nikli nahin
aap ne galiyon pe khola munh
ho gaya raaz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikala munh
shab-e-gham ka bayan kya kijiye
hai baDi baat aur chhoTa munh
jab kaha yar se dikha surat
hans ke bola ki dekho apna munh
kis ko KHun-e-jigar pilaega
saghar-e-mai ko kyun lagaya munh
phir gai aankh misl-e-qibla-numa
jis taraf us sanam ne phera munh
ghar mein baiThe the kuchh udas se wo
bole bas dekhte hi mera munh
hum bhi ghamgin se hain aaj kahin
subh uTThe the dekh tera munh
sang-e-aswad nahin hai chashm-e-butan
bosa 'momin' talab kare kya munh
(653) Peoples Rate This