Asar Usko Zara Nahin Hota
asar us ko zara nahin hota
ranj rahat-faza nahin hota
bewafa kahne ki shikayat hai
to bhi wada-wafa nahin hota
zikr-e-aghyar se hua malum
harf-e-naseh bura nahin hota
kis ko hai zauq-e-talKH-kaami lek
jang bin kuchh maza nahin hota
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya mein kya nahin hota
us ne kya jaane kya kiya le kar
dil kisi kaam ka nahin hota
imtihan kijiye mera jab tak
shauq zor-azma nahin hota
ek dushman ki charKH hai na rahe
tujh se ye ai dua nahin hota
aah tul-e-amal hai roz-fuzun
garche ek muddaa nahin hota
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
haal-e-dil yar ko likhun kyunkar
hath dil se juda nahin hota
rahm bar-KHasm-e-jaan-e-ghair na ho
sab ka dil ek sa nahin hota
daman us ka jo hai daraaz to ho
dast-e-ashiq rasa nahin hota
chaara-e-dil siwae sabr nahin
so tumhaare siwa nahin hota
kyun sune arz-e-muztar ai 'momin'
sanam aaKHir KHuda nahin hota
(1771) Peoples Rate This