Adam Mein Rahte To Shad Rahte Use Bhi Fikr-e-sitam Na Hota
adam mein rahte to shad rahte use bhi fikr-e-sitam na hota
jo hum na hote to dil na hota jo dil na hota to gham na hota
hui KHajalat se nafrat afzun gile kiye KHub aaKHirin dam
wo kash ek dam Thahar ke aate ki mere lab par bhi dam na hota
paDa hi marna bas ab to hum ko jo us ne KHat paDh ke nama-bar se
kaha ki gar sach ye haal hota to daftar itna raqam na hota
kisi ke jalne ka dhyan aaya wagarna dud-e-fughan se mere
agar hazaron siphar bante tumhaari aankhon mein nam na hota
jo aap dar se uTha na dete kahin na karta main jabha-sai
agarche ye sarnawisht mein tha tumhaare sar ki qasam na hota
visal ko hum taras rahe the jo ab hua to maza na paya
adu ke marne ki jab KHushi thi ki us ko ranj-o-alam na hota
jahan-e-tang o hujum-e-wahshat gharaz ki dam par buri bani thi
kahan main jata na ji Thaharta kahin jo dasht-e-adam na hota
magar raqibon ne sar uThaya ki ye na hota to be-murawwat
nazar se zahir haya na hoti haya se gardan mein KHam na hota
wahan taraqqi jamal ko hai yahan mohabbat hai roz-afzun
sharik-e-zeba tha bul-hawas bhi jo bewafai mein kam na hota
ghalat ki sanea ko ho gawara KHarash-e-angusht-ha-e-nazuk
jawab-e-KHat ki ummid rakhte jo qaul-e-juffil-qalam na hota
ye be-takalluf phira rahi hai kashish dil-e-ashiqan ki us ko
wagarna aisi nazakaton pe KHiram-e-naz ek qadam na hota
visal to hai kahan mayassar magar KHayal-e-visal hi mein
maze uDate hawas nikalti jo sath andaz-e-ram na hota
hua musalman main aur Dar se na dars-e-waiz ko sun ke 'momin'
bani thi dozaKH bala se banti azab-e-hijr-e-sanam na hota
(708) Peoples Rate This