Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e8b033dbc9c7b9d5ee740eb7cc2143d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho - Momin Khan Momin Poetry In English - Darsaal

Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho

aankhon se haya Tapke hai andaz to dekho

hai bul-hawason par bhi sitam naz to dekho

us but ke liye main hawas-e-hur se guzra

is ishq-e-KHush-anjam ka aaghaz to dekho

chashmak meri wahshat pe hai kya hazrat-e-naseh

tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusun-saz to dekho

arbab-e-hawas haar ke bhi jaan pe khele

kam-talai-e-ashiq-e-jaan-baz to dekho

majlis mein mere zikr ke aate hi uThe wo

badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho

mahfil mein tum aghyar ko duz-dida nazar se

manzur hai pinhan na rahe raaz to dekho

us ghairat-e-nahid ki har tan hai dipak

shoala sa lapak jae hai aawaz to dekho

den paki-e-daman ki gawahi mere aansu

us yusuf-e-bedard ka eajaz to dekho

jannat mein bhi 'momin' na mila hae buton se

jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaz to dekho

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Aankhon Se Haya Tapke Hai Andaz To Dekho in PDF.