Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya
kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar kis ne kiya
sirf aafaq mera raKHt-e-safar kis ne kiya
be-hunar tujh se mera ijz-e-hunar puchhta hai
mujh ko matub sar-e-shahr-e-hunar kis ne kiya
dahr-e-fani mein faqat ahl-e-qanaat ke siwa
zindagi tujh ko bahar-haal basar kis ne kiya
ai mere jazb-e-ana teri baqa ki KHatir
apni takmil se is taur hazar kis ne kiya
tu ki ek zarra-e-nachiz tha ai husn-maab
tujh ko ham-paya-e-KHurshid-o-qamar kis ne kiya
aaj bhi dang hai raftar-e-zamana is par
ek pal mein kai qarnon ka safar kis ne kiya
sochta hun faqat is daur ke insan ke liye
hasrat-o-yas ke mausam ko amar kis ne kiya
mahw-e-hairat hai tahayyur bhi jahan par 'tabish'
aise be-ab-o-giyah dasht ko ghar kis ne kiya
(678) Peoples Rate This