Nae Jaziron Ki Hum Ko Bhi Chahaten Thin Bahut

nae jaziron ki hum ko bhi chahaten thin bahut

hamari rah mein lekin riwayaten thin bahut

kahin bhi aag lage us ka nam aata hai

use charagh jalane ki aadaten thin bahut

kisi ka lahja yaqinan fareb lagta tha

magar fareb ke pichhe sadaqaten thin bahut

andhere zaKHm masail dhuan lahu aansu

ganwate hum bhi kahan tak wirasaten thin bahut

wo jis ki guftugu phulon ka istiara thi

KHamoshiyon mein bhi us ki fasahaten thin bahut

utara jata tha sadqa hamari jaan ka bhi

hamare dam se bhi mansub chahaten thin bahut

bahut samajhte hain thoDe likhe ko hum 'shadab'

hamare waste ek do shikayaten thin bahut

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nae Jaziron Ki Hum Ko Bhi Chahaten Thin Bahut In English By Famous Poet Moin Shadab. Nae Jaziron Ki Hum Ko Bhi Chahaten Thin Bahut is written by Moin Shadab. Read famous Poem Nae Jaziron Ki Hum Ko Bhi Chahaten Thin Bahut for youth and Student by Moin Shadab. Free Download Nae Jaziron Ki Hum Ko Bhi Chahaten Thin Bahut in PDF.