Wahi Main Hun Wahi Meri Kahani Hai
wahi qissa mere dil ka
dil-e-wahshat-zada par baadalon ki tarah us umDe hue be-nam mausam ka
ki jo be-nam to tha hi kai barson se be-mani bhi ho kar rah gaya hai
aur ye main ne is liye likkha hai
kyun ki main ne is ke mani
be-had mazarat ke sath
ab tak
computer ke zamane ke kisi zarKHez-tar dil ke lughat mein bhi nahin dekhe
mere jazbon ke shaKH-o-barg par
be-shirkat-e-ghair yahi mausam hai jis ki hukmarani hai
wahi main hun wahi chaaron taraf raqsan meri afsurda shab hai
aur wahi meri thaki haari hui jagi hui roi hui aankhon ka
sannaTe ke rangon jaisa aangan hai
wahi KHwab-e-talab hai
aur wahi dard-e-shikasta-pa jo shayad ghair-rasmi par
us dil ke ab tak zinda rah jaane ka tan-e-tanha sabab hai
aur wahi kirdar-e-be-ja jo meri taqdir se mansub ho kar
is musallat-karda yak-tarfa kahani ke kisi andhe kuen mein
nichli zaton ke swembar jit jaane wale bad-qismat jari ki tarah
kab se jaan-ba-lab hai
han wahi is ki kahani hai
jo aadam aur hawwa ki nadamat ke zamane se bhi kuchh arsa purani hai
kahani ka safar jari hai
ye bhi itifaqan ka ek fitri ek tadriji amal hai
jo asatiri khilaunon ko
kisi tariKH ki tadwin tak
zina-ba-zina la ke
un ko masKH kar deta hai un mein un ka apna bhola-pan rahne nahin deta
aur is par ye ki us ka jabr
is bare mein rawi ko
kisi bhi shaKHs se
ek lafz bhi kahne nahin deta
kahani mein mera kirdar hi main hun
wahi main hun wahi meri kahani hai
(3457) Peoples Rate This