Mere Siwa
tu hi batla ki bhala mere siwa duniya mein
kaun samjhega in aankhon ke tabassum ka gudaz
in sharar-bar nigahon mein magar mere siwa
dekh paega bhala kaun karam ke andaz
jin fazaon mein bhaTakte hain KHayalat tere
hai wahan kaun ba-juz mere tera ham-parwaz
kaun paDh paega tahrir-e-jabin-e-shaffaf
kas ko mal sakta hai be-wajh taghaful ka jawaz
kaun samjhega ba-juz mere tera huzn-o-alam
jab tere dosh pe bikhri bhi na wo zulf-e-daraaz
to hi batla ki bhala kaun samajh paega
tere honTon se bahut dur teri aah ka raaz
jazb ho kar shab-e-tarik ke sannaTe mein
kaun is tarah sunega tere dil ki aawaz
(756) Peoples Rate This