Fitrat Ek Muflis Ki Nazar Mein
fitrat ke pujari kuchh to bata kya husn hai in gulzaron mein
hai kaun si ranai aaKHir in phulon mein in KHaron mein
wo KHwah sulagte hon shab bhar wo KHwah chamakte hon shab bhar
main ne bhi to dekha hai aksar kya baat nai hai taron mein
is chand ki ThanDi kirnon se mujh ko to sukun hota hi nahin
mujh ko to junun hota hi nahin jab phirta hun gulzaron mein
ye chup chup nargis ki kaliyan kya jaane kaisi kaliyan hain
jo khilti hain jo hansti hain aur phir bhi hain bimaron mein
ye lal shafaq ye lala-o-gul ek chingari bhi jin mein nahin
shole bhi nahin garmi bhi nahin in tere aatish-zaron mein
us waqt kahan tu hota hai jab mausam-e-garma ka suraj
dozaKH ki tapish bhar deta hai dariyaon mein kohsaron mein
jaDe ki bhayanak raaton mein wo sard hawaon ki tezi
han wo tezi wo be-mehri jo hoti hai talwaron mein
dariya ke talatum ka manzar han tujh ko mubarak ho lekin
ek TuTi phuTi kashti bhi chakraati hai manjdhaaron mein
koyal ke rasile git sune lekin ye kabhi socha tu ne
hain uljhe hue naghme kitne ek saz ke TuTe taron mein
baadal ki garaj bijli ki chamak barish mein wo tezi tiron ki
main ThiThura simTa saDkon par tu jam-ba-lab mai-KHwaron mein
sab hosh o KHirad ke dushman hain sab qalb o nazar ke rahzan hain
rakkha hai bhala kya is ke siwa in rahat-e-jaan mah-paron mein
wo lakh hilalon se bhi hasin kaisi zohra kaisi parwin
ek roTi ka TukDa jo kahin mil jae mujhe bazaron mein
jab jeb mein paise bajte hain jab peT mein roTi hoti hai
us waqt ye zarra hira hai us waqt ye shabnam moti hai
(1742) Peoples Rate This