Aazar
kya KHabar thi ye tere phul se bhi nazuk honT
zahr mein Dubenge kumhlaenge murjhaenge
kis ko malum tha ye hashr teri aankhon ka
nur ke sote bhi tariki mein kho jaenge
teri KHamosh wafaon ka sila kya hoga
mere na-karda gunahon ki saza kya hogi
qahqahe honge ki ashkon ki tarannum-rezi
dil-e-wahshi tere jine ki ada kya hogi
koi uljha hua naghma koi suljha hua git
kaun jaane lab-e-shaer ki nawa kya hogi
han magar dil hai ki dhaDke hi chala jata hai
is se baDh kar koi tauhin-e-wafa kya hogi
aur ye shor garajte hue tufanon ka
ek sailab sisakte hue insanon ka
har taraf saikDon bal khati dhuwen ki lahren
har taraf Dher jhulaste hue armanon ka
zindagi aur bhi kuchh KHwar hui jati hai
ab to jo sans hai aazar hui jati hai
(856) Peoples Rate This