Wahi Kasif GhaTaen Wahi Bhayanak Raat
wahi kasif ghaTaen wahi bhayanak raat
sahar se jaise gurezan hon aaj bhi lamhat
wahi jafaen wahi saKHtiyan wahi aafat
tumhin batao ki badle kahan mere din raat
ye barq o baad ki yurish ye zahr ki barish
mili hai ahl-e-chaman ko bahaar ki saughat
dilon mein aag nigahon mein aag baaton mein aag
kabhi to yun bhi nikalti hai gham-zadon ki baraat
kabhi kabhi to zamin aasman chamak uTThe
kabhi kabhi to dahak uTThe KHak ke zarraat
KHizan-rasida chaman aag ho gae 'jazbi'
hamare dida-e-pur-KHun mein thi magar kuchh baat
(734) Peoples Rate This