Tujhse Nazar Mila Kar Diwana Ho Gaya Main
tujh se nazar mila kar diwana ho gaya main
kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main
apne liye bahaya KHun-e-jigar to kya gham
tere liye to rangin afsana ho gaya main
han ab uTha rahe ho diwana-war nazren
jab tum se tang aa kar diwana ho gaya main
ye soch kar ki shayad parwana-war aao
afsurda sa charagh-e-gham-KHana ho gaya main
haT kar ghamon se akasr Thukra diya ghamon ko
akasr ghamon se ghuT kar diwana ho gaya main
teri nazar mein rah kar ek raaz ban gaya tha
gir kar teri nazar se afsana ho gaya main
ek bar aur dekha hasrat se un ki jaanib
phir rafta rafta un se begana ho gaya main
ab to meri KHamoshi sab kah chuki hai tum se
ab to suna-sunaya afsana ho gaya main
hai kal aansuon ka kyun chashm-e-gham mein 'jazbi'
kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main
(924) Peoples Rate This