Na Koi Aah Na Koi KHalish Na Dard Na Gham
na koi aah na koi KHalish na dard na gham
wo yaad aae to pahron sukut ka aalam
dikha gai mujhe nairangiyan zamane ki
wo ek nigah kabhi multafit kabhi barham
halawaton mein wo Dubi si ek karam ki nigah
latafaton mein wo lipTe hue hazar sitam
wo ek sham ki KHud jal uThe hain ghar ke charagh
wo ek subh ki KHud jis pe ro paDi shabnam
mohabbaton mein ye iman ye chashm-e-nam ye taDap
buton se hum ko bahut kuchh mila KHuda ki qasam
ajib dhun thi ki Thahre kahin na diwane
wo rahaton ka chaman ho ki KHar-zar-e-alam
na puchh kyun mujhe aate hain yaad ai 'jazbi'
jahan-e-dard mein dard-e-jahan ke wo mahram
(914) Peoples Rate This