Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ba2cea174bb47e2e07b63fe776c7d9c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho - Moin Ahsan Jazbi Poetry In English - Darsaal

Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho

kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho

wahi wahshat wahi sauda wahi sar ho ki na ho

jaane ek rang sa ab ruKH pe tere aae na aae

nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho

ab musalsal bhi jo dhaDke dil-e-nashad mera

kis ko malum tere dil ko KHabar ho ki na ho

qahr mein lutf mein mad-hoshi o hushyari mein

wo mere waste taKHsis-e-nazar ho ki na ho

hijr ki raat thi imkan-e-sahar se raushan

jaane ab us mein wo imkan-e-sahar ho ki na ho

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Kucha-e-yar Mein Ab Jaane Guzar Ho Ki Na Ho in PDF.