Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain
kitni bulandiyon pe sar-e-dar aae hain
kisi marka mein ahl-e-junun haar aae hain
ghabra uThe hain zulmat-e-shab se to bar-ha
nale hamare lab pe sharar-bar aae hain
ai qissa-go azal se jo biti hai wo suna
kuchh log tere fan ke parastar aae hain
pai gulon se aabla-pai ki jab na dad
diwane hain ki su-e-lab-e-KHar aae hain
gham-KHwariyon ki tah mein dabi si masarraten
yun mere pas bhi mere gham-KHwar aae hain
pahunche hain jab bhi KHalwat-e-dil mein to ai nadim
aksar hum apne aap se be-zar aae hain
us bazm mein to mai ka kahin zikr tak na tha
aur hum wahan se be-KHud o sarshaar aae hain
us ki gali mein hum ne luTa di mata-e-jaan
us ki gali se hum to subuksar aae hain
karte rahe hain fan ki parastish tamam umr
mahshar mein kaise kaise gunahgar aae hain
'jazbi' jo ho sake to meri hairaton se puchh
kis tarah mere zehn mein ashaar aae hain
(794) Peoples Rate This