Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eb9ee441c84271663092a0ce97570e8a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain - Moin Ahsan Jazbi Poetry In English - Darsaal

Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain

hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain

ashkon ki zaban mein kahte hain aahon mein ishaara karte hain

kya tujh ko pata kya tujh ko KHabar din raat KHayalon mein apne

ai kakul-e-giti hum tujh ko jis tarah sanwara karte hain

ai mauj-e-bala un ko bhi zara do chaar thapeDe halke se

kuchh log abhi tak sahil se tufan ka nazara karte hain

kya jaaniye kab ye pap kaTe kya jaaniye wo din kab aae

jis din ke liye hum ai 'jazbi' kya kuchh na gawara karte hain

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Hum Dahr Ke Is Virane Mein Jo Kuchh Bhi Nazara Karte Hain in PDF.