Makan Se Dur Kahin La-makan Mein BaiTh Gai
makan se dur kahin la-makan mein baiTh gai
badan ki aag tilismat-e-jaan mein baiTh gai
sulagti dhup mein jal kar faqir-e-shab teri KHak
kyun KHan-qah-e-shab-e-be-karan main baiTh gai
kyun aaj dil ke haram mein namaz-e-gham na hui
kyun ek chup si sada-e-azan mein baiTh gai
hamari subh hujum-e-bala ki nazr hui
hamari sham bhi dasht-e-guman main baiTh gai
kisi ka jism shikar-e-nahang-e-waqt-e-KHizan
kisi ki sans faza-e-giran mein baiTh gai
kahin safar ki risalat kahin thakan ki hadis
ye kashmakash bhi 'rashidi' dhuan mein baiTh gai
(712) Peoples Rate This