Ye Jaur Ahl-e-aza Par Mazid Karte Rahe
ye jaur ahl-e-aza par mazid karte rahe
sitam-shiar moharram mein id karte rahe
hamare dam se raha daur-e-baada-paimai
ki apne KHun se hum mai kashid karte rahe
gila to ye hai ki jitne amir-e-shahr hue
gharib-e-shahr ko sab na-ummid karte rahe
kiya hai hum ne hamesha hi karobar-e-ziyan
ki sasta bech ke mahnga KHarid karte rahe
kisi se shahr-e-KHamoshan mein kahte sunte kya
hum apne aap se guft-o-shunid karte rahe
wo zer-e-KHanjar-e-qatil na tha gulu koi
wo ek KHayal tha jis ko shahid karte rahe
mera kalam to kya naqdin-e-fan 'mohsin'
kalam-e-haq mein bhi qata-o-burid karte rahe
(679) Peoples Rate This