Ye Hain Jo Aastin Mein KHanjar Kahan Se Aae
ye hain jo aastin mein KHanjar kahan se aae
tum sikh kar ye KHu-e-sitamgar kahan se aae
jab tha muhafizon ki nigahbaniyon mein shahr
qatil fasil-e-shahr ke andar kahan se aae
kya phir mujhe ye andhe kuen mein giraenge
ban kar ye log mere baradar kahan se aae
ye dasht-e-be-shajar hi jo Thahra to phir yahan
saya kisi shajar ka mayassar kahan se aae
uslub mera sikh liya tum ne kis tarah
lahje mein mera Dhab mere tewar kahan se aae
mazi ke aainon pe jila kaun kar gaya
pesh-e-nigah phir wahi manzar kahan se aae
daur-e-KHizan mein kaise palaT kar bahaar aai
pazh-murda shaKH par ye gul-e-tar kahan se aae
'mohsin' is iKHtisar pe qurban jaiye
kuze mein band ho ke samundar kahan se aae
(845) Peoples Rate This