Wo Maut Ka Manzar Jo Tha Din Raat Wahi Hai
wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai
munh se na kaho surat-e-haalat wahi hai
lafzon ke ulaT pher se badlega na matlab
imdad jise kahte ho KHairaat wahi hai
gul karna charaghon ka to ek khel hai us ka
wazeh hai pas-e-parda-e-zulmat wahi hai
zanjir mein mausam ki hain jakDe hue din raat
sardi wahi garmi wahi barsat wahi hai
hum ne to isi tarah guzare hain shab-o-roz
apne liye har din wahi har raat wahi hai
kuchh mere hi manind hai tarz-e-suKHan us ka
andaz-e-ishaaraat-o-kinayat wahi hai
donon hi taraf aag barabar ki hai 'mohsin'
donon hi taraf garmi-e-jazbaat wahi hai
(796) Peoples Rate This