Raste Mein Koi Aa Ke Inan-gir Ho Na Jae
raste mein koi aa ke inan-gir ho na jae
ye jazba-e-junun mera zanjir ho na jae
us ko jo ab kisi se shikayat nahin rahi
phir kyun wo sab se mil ke baghal-gir ho na jae
main ne zaban di hai to lab wa karunga kya
lekin zaban-e-KHalq se tashhir ho na jae
manzar ye hashr-KHez jo pesh-e-nigah hai
Darta hun mere KHwab ki tabir ho na jae
aankhon mein bas gai hai wo taswir is tarah
meri nigah-e-shauq bhi taswir ho na jae
'mohsin' na jaane subh numudar hogi kab
ye sham-e-be-charagh hi taqdir ho na jae
(698) Peoples Rate This