Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna
manzil-o-samt-e-safar se be-KHabar na-ashna
ham-safar mujh ko mila kaisa safar na-ashna
sare hi chehre sabhi diwar-o-dar na-ashna
lag raha hai mujh ko sara hi nagar na-ashna
shama ek na-mahram-e-asrar-e-shab hangam-e-sham
ek sitara aaKHir-e-shab aur sahar na-ashna
mauj-e-tez-o-tund se aThkheliyan karti hui
apne barg-o-bar se shaKH-e-shajar na-ashna
ye to duniya hai badalti rahti hai us ki nazar
jis qadar ye aashna hai us qadar na-ashna
us nigah-e-naz ko apni taraf samjha kiye
munkashif phir ye hua hum the nazar na-ashna
kya jhukega ab kisi ke dar pe 'mohsin' apna sar
zindagi bhar to raha sajde se sar na-ashna
(652) Peoples Rate This