Kisi Ke Dosh Na Markab Se Istifada Kiya
kisi ke dosh na markab se istifada kiya
yahan talak ka safar hum ne pa-pyaada kiya
jahan pe dekhe qadam apne kuchh bhaTakte hue
wahin Thahar ke farozan charagh-e-baada kiya
libas badle nahin hum ne mausamon ki tarah
ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labaada kiya
amir-e-shahr sabhi the sharik-e-mashq-e-sitam
kisi ne kam to kisi ne sitam ziyaada kiya
har ek bar qadam but-kade mein lauT aae
KHuda gawah hai masjid ka jab irada kiya
bichhaDne walon mein hum jis se aashna kam the
na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya
koi akela to main sadgi-pasand na tha
pasand us ne bhi rangon mein rang sada kiya
bahut hi tang thi 'mohsin' ye rahguzar-e-ghazal
hum ahle-e-fikr-o-nazar ne ise kushada kiya
(737) Peoples Rate This