Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun
jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun
utna hi TuT ke andar se bikharta jaun
zindagi jaise calendar pe badalti tariKH
main shab-o-roz ke manind guzarta jaun
kya pata KHwabon ki tabir mile ya na mile
kisi kaghaz pe unhen note hi karta jaun
sehn-e-gulshan se wo ek aaKHiri rishta bhi gaya
KHushk patton ki tarah ab to bikharta jaun
tah-e-zulmat in aaankhon ke diye jalte jaen
zina zina main ujalon mein utarta jaun
gard-e-daman ki tarah mujh ko uDane wale
aks ban kar teri aaankhon mein Thaharta jaun
kitne ghabrae hue hain mere qatil 'mohsin'
aastinon pe lahu ban ke ubharta jaun
(719) Peoples Rate This