Is Taraf Se Us Taraf Tak KHushk O Tar Pani Mein Hai

is taraf se us taraf tak KHushk o tar pani mein hai

ab samundar se samundar tak nazar pani mein hai

meri aankhon mein idhar manzar hai apni maut ka

aur koi Dubne wala udhar pani mein hai

jaane kab mere samundar ko koi sahil mile

kab se mera jism sargarm-e-safar pani mein hai

kashti-e-anfas zer-e-ab bhi hai shola-bar

tah-ba-tah jaise koi mauj-e-sharar pani mein hai

jal gaya hota shua-e-mehr se ye shahr bhi

KHairiyat guzri ki KHwabon ka nagar pani mein hai

is bulandi se lagaun kis taraf ab main chhalang

ek dar hai dasht mein to ek dar pani mein hai

ho chuke hain kab ke chakna-chur aaine sabhi

ye to 'mohsin' apna hi aks-e-nazar pani mein hai

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Taraf Se Us Taraf Tak KHushk O Tar Pani Mein Hai In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Is Taraf Se Us Taraf Tak KHushk O Tar Pani Mein Hai is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Is Taraf Se Us Taraf Tak KHushk O Tar Pani Mein Hai for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Is Taraf Se Us Taraf Tak KHushk O Tar Pani Mein Hai in PDF.