Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta
hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta
unhen KHud bhi koi apne siwa achchha nahin lagta
nahin gar naghma-e-shadi nafir-e-gham sahi koi
ki saz-e-zindagani be-sada achchha nahin lagta
hamein ye band kamron ka makan kuchh bha gaya itna
ki hum ko ab koi aangan khula achchha nahin lagta
kuchh itni talKH us din ho gai thi guftugu un se
kai din se zaban ka zaiqa achchha nahin lagta
kabhi nazdik aa kar ru-ba-ru bhi hon mulaqaten
ki ham-sayon mein itna fasla achchha nahin lagta
kaThin raston pe chalna apni uftad-e-tabiat hai
hamein aasan koi rasta achchha nahin lagta
ise hum marsiya-goyon pe 'mohsin' chhoD dete hain
likhen hum aap apna marsiya achchha nahin lagta
(1351) Peoples Rate This