Ek Aas To Hai Koi Sahaara Nahin To Kya

ek aas to hai koi sahaara nahin to kya

raste mein kuchh shajar to hain saya nahin to kya

rahta hai koi shaKHs mere dil ke aas pas

main ne use qarib se dekha nahin to kya

tu hi bata ki chahen tujhe aur kis tarah

ye teri justuju ye tamanna nahin to kya

hum dur dur rah ke bhi chalte rahe hain sath

hum ne qadam qadam se milaya nahin to kya

reg-e-rawan ki tarah hain sare talluqat

tum ne kisi ka sath nibhaya nahin to kya

waise hamein to pyas mein dariya ki thi talash

ab ye sarab hi sahi dariya nahin to kya

socha bhi tum ne dasht chaman kaise ban gaya

mehnat ka ye araq ye pasina nahin to kya

'mohsin' meri nigah ko achchha laga wahi

duniya ki wo nazar mein jo achchha nahin to kya

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aas To Hai Koi Sahaara Nahin To Kya In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Ek Aas To Hai Koi Sahaara Nahin To Kya is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Ek Aas To Hai Koi Sahaara Nahin To Kya for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Ek Aas To Hai Koi Sahaara Nahin To Kya in PDF.