Dur Tak Sabza Kahin Hai Aur Na Koi Saeban
dur tak sabza kahin hai aur na koi saeban
zer-e-pa tapti zamin hai sar pe jalta aasman
jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui
waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan
ab ke sailab-e-bala sab kuchh baha kar le gaya
ab na KHwabon ke jazire hain na dil ki kashtiyan
lutf un ka ab hua to hai magar kuchh is tarah
jaise sahra se guzar jae koi abr-e-rawan
munhasir hai aisi ek buniyaad par us ka yaqin
jis tarah dosh-e-hawa par koi tinkon ka makan
be-zabanon se KHamoshi ka gila kaisa ki jab
so gae lafzon ki chadar tan kar ahl-e-zaban
ye safar kaisa hai 'mohsin' jitna baDhte jaiye
baDhti jaen utni hi manzil-ba-manzil duriyan
(560) Peoples Rate This