Dosh-e-hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya

dosh-e-hawa pe tinkon ka ye aashiyana kya

jis ko ujaD hi jaana hai wo ghar basana kya

hum ko chhupa rahe ho ye aaKHir hamin se kyun

hum se mila rahe ho hamein ghaebana kya

hum kaun juzw-e-KHas kisi dastan ke the

kaisa hamara zikr hamara fasana kya

aankhon mein ashk rok liye is KHayal se

miTTi mein motiyon ka luTaen KHazana kya

wo bazm-e-dostan na wo ab ku-e-dilbaran

bahar nikal ke ghar se kahin aana jaana kya

maqsad ye kya nahin hai ki dushman ko ho shikast

ye jang ho rahi hai koi dostana kya

jab sab yahan KHamosh hain diwar ki tarah

phir sunna kya kisi se kisi ko sunana kya

'mohsin' kahin bhi le ke hamein aab-o-dana jae

apna yahan pe Thaur koi kya Thikana kya

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosh-e-hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Dosh-e-hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Dosh-e-hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Dosh-e-hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya in PDF.