Agar Chaman Ka Koi Dar Khula Bhi Mere Liye
agar chaman ka koi dar khula bhi mere liye
sumum ban gai baad-e-saba bhi mere liye
mera suKHan bhi hua us ke nam se mausum
abas hua mera apna kaha bhi mere liye
yahi nahin ki wo raste se moD kaT gaya
na chhoDa us ne koi naqsh-e-pa bhi mere liye
talluqat ka rakhna bhi toDna bhi muhaal
azab-e-jaan hai ye rasm-e-wafa bhi mere liye
mujhe tawil safar ka mila tha hukm to phir
kuchh aur hoti kushada faza bhi mere liye
mere liye jo hai zanjir mera auj-e-nazar
kamand hai meri fikr-e-rasa bhi mere liye
dawa hai mere liye jis ki KHak-e-pa 'mohsin'
usi ka ism hai harf-e-dua bhi mere liye
(616) Peoples Rate This