Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4d532e3ed1f085e907fdc9497e9a7d1a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Ab Dar Nahin Lagta - Mohsin Naqvi Poetry In English - Darsaal

Mujhe Ab Dar Nahin Lagta

kisi ke dur jaane se

talluq TuT jaane se

kisi ke man jaane se

kisi ke ruTh jaane se

mujhe ab Dar nahin lagta

kisi ko aazmane se

kisi ke aazmane se

kisi ko yaad rakhne se

kisi ko bhul jaane se

mujhe ab Dar nahin lagta

kisi ko chhoD dene se

kisi ke chhoD jaane se

na shama ko jalane se

na shama ko bujhane se

mujhe ab Dar nahin lagta

akele muskurane se

kabhi aansu bahane se

na is sare zamane se

haqiqat se fasane se

mujhe ab Dar nahin lagta

kisi ki na-rasai se

kisi ki parsai se

kisi ki bewafai se

kisi dukh intihai se

mujhe ab Dar nahin lagta

na to is par rahne se

na to us par rahne se

na apni zindagani se

na ek din maut aane se

mujhe ab Dar nahin lagta

(12784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ab Dar Nahin Lagta In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Mujhe Ab Dar Nahin Lagta is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Mujhe Ab Dar Nahin Lagta for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Mujhe Ab Dar Nahin Lagta in PDF.