December Mujhe Ras Aata Nahin
kai sal guzre
kai sal bite
shab-o-roz ki gardishon ka tasalsul
dil-o-jaan mein sanson ki parten ulTe hue
zalzalon ki tarah hanpta hai
chaTaKHte hue KHwab
aankhon ki nazuk ragen chhilte hain
magar main ek sal ki god mein jagti subh ko
be-karan chahaton se aTi zindagi ki dua de kar
ab tak wahi justuju ka safar kar raha hun
guzarta hua sal jaisa bhi guzra
magar sal ke aaKHiri din
nihayat kaThin hain
mere milne walo
nae sal ki muskuraati hui subh gar hath aae
to milna
ki jate hue sal ki saaton mein
ye bujhta hua dil
dhaDakta to hai muskuraata nahin
december mujhe ras aata nahin
(2596) Peoples Rate This