Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_774c9ef1ac2b1d2f4b00f7ba119a5c56, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bhul Jao Mujhe - Mohsin Naqvi Poetry In English - Darsaal

Bhul Jao Mujhe

wo to yun tha ki hum

apni apni zarurat ki KHatir

apne apne taqazon ko pura kiya

apne apne iradon ki takmil mein

tira-o-tar KHwahish ki sanglaKH rahon pe chalte rahe

phir bhi rahon mein kitne shagufe khile

wo to yun tha ki baDhte gae silsile

warna yun hai ki hum

ajnabi kal bhi the

ajnabi ab bhi hain

ab bhi yun hai ki tum

har qasam toD do

sab ziden chhoD do

aur agar yun na tha to yunhi soch lo

tum ne iqrar hi kab kiya tha ki main

tum se mansub hun

main ne israr hi kab kiya tha ki tum

yaad aao mujhe

bhul jao mujhe

(3536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhul Jao Mujhe In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Bhul Jao Mujhe is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Bhul Jao Mujhe for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Bhul Jao Mujhe in PDF.