Bahut Dinon Baad
bahut dinon baad
tere KHat ke udas lafzon ne
teri chahat ke zaiqon ki tamam KHushbu
meri ragon mein unDel di hai
bahut dinon baad
teri baaten
teri mulaqat ki dhanak se dahakti raaten
ujaD aankhon ke pyas patal ki tahon mein
visal-wadon ki chand chingariyon ko sanson ki aanch de kar
sharir shoalon ki sar-kashi ke tamam tewar
sikha gai hain
tere mahakte mahin lafzon ki aabshaaren
bahut dinon baad phir se
mujh ko rula gai hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki mere andar ki rakh ke Dher par abhi tak
tere zamane likhe hue hain
sabhi fasane likhe hue hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki teri yaadon ki kirchiyan
mujh se kho gai hain
tere badan ki tamam KHushbu
bikhar gai hai
tere zamane ki chahatin
sab nishaniyan
sab shararten
sab hikayaten sab shikayaten jo kabhi hunar mein
KHayal thin KHwab ho gai hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki main bhi kitna badal gaya hun
bichhaD ke tujh se
kai lakiron mein Dhal gaya hun
main apne cigarette ke be-irada dhuen ki surat
hawa mein tahlil ho gaya hun
na DhunDh meri wafa ke naqsh-e-qadam ke reze
ki main to teri talash ke be-kanar sahra mein
wahm ke be-aman bagulon ke war sah kar
udas rah kar
na-jaane kis rah mein kho gaya hun
bichhaD ke tujh se teri tarah kya bataun main bhi
na jaane kis kis ka ho gaya hun
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
(3304) Peoples Rate This