Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi
zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi
meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki did ka
rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi
is raat der tak wo raha mahw-e-guftugu
masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi
mujh se bichhaD ke shahr mein ghul-mil gaya wo shaKHs
haalanki shahr-bhar se adawat use bhi thi
wo mujh se baDh ke zabt ka aadi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi
tanha hua safar mein to mujh pe khula ye bhed
sae se pyar dhup se nafrat use bhi thi
'mohsin' main us se kah na saka yun bhi haal dil
darpesh ek taza musibat use bhi thi
(5647) Peoples Rate This