Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7135295623081551dddd1f2978344c6f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun - Mohsin Naqvi Poetry In English - Darsaal

Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun

zaban rakhta hun lekin chup khaDa hun

main aawazon ke ban main ghir gaya hun

mere ghar ka daricha puchhta hai

main sara din kahan phirta raha hun

mujhe mere siwa sab log samjhen

main apne aap se kam bolta hun

sitaron se hasad ki intiha hai

main qabron par charaghan kar raha hun

sambhal kar ab hawaon se ulajhna

main tujh se pesh-tar bujhne laga hun

meri qurbat se kyun KHaif hai duniya

samundar hun main KHud mein gunjta hun

mujhe kab tak sameTega wo 'mohsin'

main andar se bahut TuTa hua hun

(4419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Zaban Rakhta Hun Lekin Chup KhaDa Hun in PDF.