UjaD UjaD Ke Sanwarti Hai Tere Hijr Ki Sham
ujaD ujaD ke sanwarti hai tere hijr ki sham
na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki sham
ye barg barg udasi bikhar rahi hai meri
ki shaKH shaKH utarti hai tere hijr ki sham
ujaD ghar mein koi chand kab utarta hai
sawal mujh se ye karti hai tere hijr ki sham
mere safar mein ek aisa bhi moD aata hai
jab apne aap se Darti hai tere hijr ki sham
bahut aziz hain dil ko ye zaKHm zaKHm ruten
inhi ruton mein nikharti hai tere hijr ki sham
ye mera dil ye sarasar nigar-KHana-e-gham
sada isi mein utarti hai tere hijr ki sham
jahan jahan bhi milen teri qurbaton ke nishan
wahan wahan se ubharti hai tere hijr ki sham
ye hadisa tujhe shayad udas kar dega
ki mere sath hi marti hai tere hijr ki sham
(3804) Peoples Rate This