Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai
tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai
misal-e-rang wo jhonka nazar bhi aata hai
tamam shab jahan jalta hai ek udas diya
hawa ki rah mein ek aisa ghar bhi aata hai
wo mujh ko TuT ke chahega chhoD jaega
mujhe KHabar thi use ye hunar bhi aata hai
ujaD ban mein utarta hai ek jugnu bhi
hawa ke sath koi ham-safar bhi aata hai
wafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha
ki wo to yaad hamein bhul kar bhi aata hai
jahan lahu ke samundar ki had Thaharti hai
wahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai
chale jo zikr farishton ki parsai ka
to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai
abhi sinan ko sambhaale rahen adu mere
ki un safon mein kahin mera sar bhi aata hai
kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi
shua-e-subh ki surat utar bhi aata hai
isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin'
wo mahtab kabhi baam par bhi aata hai
(3351) Peoples Rate This