Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main
sare lahje tere be-zaman ek main
is bhare shahar mein raegan ek main
wasl ke shahar ki raushni ek tu
hijr ke dasht mein karwan ek main
bijliyon se bhari barishen zor par
apni basti mein kachcha makan ek main
hasraton se aTe aasman ke tale
jalti-bujhti hui kahkashan ek main
mujh ko farigh dinon ki amanat samajh
bhuli-bisri hui dastan ek main
raunaqen shor mele jhamele tere
apni tanhai ka raaz-dan ek main
ek main apni hi zindagi ka bharam
apni hi maut par nauha-KHwan ek main
us taraf sang-bari har ek baam se
is taraf aainon ki dukan ek main
wo nahin hai to 'mohsin' ye mat sochna
ab bhaTakta phirunga kahan ek main
(2801) Peoples Rate This