Sanson Ke Is Hunar Ko Na Aasan KHayal Kar
sanson ke is hunar ko na aasan KHayal kar
zinda hun saaton ko main sadiyon mein Dhaal kar
mali ne aaj kitni duaen wasul kin
kuchh phul ek faqir ki jholi mein Dal kar
kul yaum-e-hijr zard zamanon ka yaum hai
shab bhar na jag muft mein aankhen na lal kar
ai gard-baad lauT ke aana hai phir mujhe
rakhna mere safar ki aziyyat sambhaal kar
mehrab mein diye ki tarah zindagi guzar
munh-zor aandhiyon mein na KHud ko niDhaal kar
shayad kisi ne buKHl-e-zamin par kiya hai tanz
gahre samundaron se jazire nikal kar
ye naqd-e-jaan ki is ka luTana to sahl hai
gar ban paDe to is se bhi mushkil sawal kar
'mohsin' barahna-sar chali aai hai sham-e-gham
ghurbat na dekh is pe sitaron ki shaal kar
(2792) Peoples Rate This